ab apni ruuh ke chhalon ka kuchh hisab karun
main chahta tha charaghon ko aftab karun
mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jaae
to shahar-bhar ke khudaon ko be-naqab karun
us aadmi ko bas ik dhun savar rahti hai
bahut hasin hai duniya ise kharab karun
hai mere charon taraf bhiid gunge bahron ki
kise khatib banaun kise khitab karun
main karvaton ke nae zaiqe likhun shab-bhar
ye ishq hai to kahan zindagi azaab karun
ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi
kahin akele men mil jaae to hisab karun
Leave a Reply