bar-e-khatir baghban ka ne dil-azar-e-chaman
sab se rahta huun alag juun khar-e-divar-e-chaman
ne dhuan dil se uthe yaaro na parvana jale
atish-e-khamosh huun manind-e-gulzar-e-chaman
sirf araish ko huun gul-ha-e-kaghaz ki misal
bu kare mujh ko na koi aur na darkar-e-chaman
bulbul-e-rishta-bapa latke hai shakh-e-gul se aaj
sakht uljhede men hai ya-rab gunahgar-e-chaman
kya hue main kis se puchhun haal un ka ai ‘nisar’
ab nazar aate nahin vo naz-bardar-e-chaman
Leave a Reply