dil-o-jigar ko mire dāġh-dār rahne de
kisī kī siine meñ hai yādgār rahne de
laboñ pe mauj-e-tabassum ho aañkh meñ aañsū
ḳhizāñ meñ partav-e-rañg-e-bahār rahne de
shikast-e-lazzat-e-girya hai karb-e-rūhānī
maiñ ashk-bār bhalā ashk-bār rahne de
nahīñ nahīñ mujhe rāhat kī aarzū hī nahīñ
isī tarah se mujhe be-qarār rahne de
na mauj-e-ashk hasīnāñ pe bhuul ai ‘altāf’
na DhūñD in meñ dur-e-shāhvār rahne de