tujh tak guzar kisi ka ai gul-badan na dekha
bad-e-saba ne ab tak tera chaman na dekha
maila ho rang us ka gar chandni men nikle
chashm-e-falak ne aisa nazuk-badan na dekha
uryan na vo nahaya hammam ho ki dariya
chashm-e-hubab ne bhi us ka badan na dekha
milti hai mere dil ko qatil ki ḳhush-ḳhirami
dekha zamana lekin aisa chalan na dekha
sau sau kiye bahane jab roz-e-vada aaya
ai hila-saz tujh sa paiman-shikan na dekha
qisse sune hazaron tasviren dekhin lakhon
saj-dhaj suni na aisi ye bankpan na dekha
Leave a Reply