• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaan Yun Libas-E-Jism Ko Nikli Utar Kar

Jaan Yun Libas-E-Jism Ko Nikli Utar Kar

jaan yuun libas-e-jism ko nikli utaar kar

jaise koi sara.e men ik shab guzar kar

halat ne libas to mela kiya magar

kirdar phir bhi rakkha hai ham ne sanvar kar

me.aar aj-kal to baḌa.i ka hai yahi

apni har ek baat ko tu ishtihar kar

gar ho sake to de unhen ummid ki kiran

baiThe hon zindagani se apni jo haar kar

duniya bahut baḌi hai kahin kar talash-e-rizq

halat kuchh hon in pe na ab inhisar kar

ye bhi to hai ana ko kuchalne ka ek taur

nafrat rahi hai jis se usi ko tu pyaar kar

jo zaḳhm dushmanon se mile un ko tu na dekh

jo doston ne baḳhshe hain un ka shumar kar

ummid roz ek na.i le ke jagiye

nakamiyon ke bojh ko sar se utaar kar

har koi ansuon ki zaban janta nahin

ankhen kisi ke samne mat abshar kar

apne nahin to aur kisi ke liye bhi ji

‘ḳhalid’ ravish ik aisi bhi ab iḳhtiyar kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mubarak-azimabadi

dard-E-dil Yar Raha dard Se Yari Na Gai

Nizam-E-Shams-O-Qamar Kitne Dast-E-KHak Mein Hain

asrarul-haq-majaz

Karishma-Sazi-E-dil dekhta Hun

Darun Zat Ka Manzar Zamane Par Nahin Khola

Zamane Kei Tarah Hamdam Na Hona

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet