pahli si ab vo shoḳhi guftar bhi nahin
muddat se zauq-e-naghma-o-ash.ar bhi nahin
suuni paḌi hai manzil-e-divangi-e-ishq
kya ho gaya ki koi sar-e-dar bhi nahin
vaa.iz sharab-noshi ke behad ḳhilaf hain
mil jaa.e muft ki to kuchh inkar bhi nahin
vo samne jo aa.e to nazren na uTh sakin
ab mujh men jaise taqat-e-didar bhi nahin
kab hogi ḳhatm ‘tahira’ sham-e-gham-e-hayat
ab tak numud-e-sub.h ke asar bhi nahin
Leave a Reply