huzur aap aur nisf shab mire makan par
huzur ki tamam-tar balaen meri jaan par
huzur khairiyat to hai huzur kyuun khamosh hain
huzur boliye ki vasvase vabal-e-hosh hain
huzur hont is tarah se kapkapa rahe hain kyuun
huzur aap har qadam pe lad-khda rahe hain kyuun
huzur aap ki nazar men niind ka khumar hai
huzur shayad aaj dushmanon ko kuchh bukhar hai
huzur muskura rahe hain meri baat baat par
huzur ko na jaane kya guman hai meri zaat par
huzur munh se ba rahi hai piik saaf kijiye
huzur aap to nashe men hain muaaf kijiye
huzur kya kaha main aap ko bahut aziiz huun
huzur ka karam hai varna main bhi koi chiiz huun
huzur chhodiye hamen hazar aur rog hain
huzur jaiye ki ham bahut gharib log hain
Leave a Reply