ye ittifaq tha main us ka ham-zamana tha
jo zindagi se ta.aruf tha gha.ebana tha
kahin mile to kabhi umr-e-rafta se puchhun
kahan hai aaj tira jis se dostana tha
bana ke ab mujhe indhan jala.e jaata hai
yahi thi shaḳh kabhi jis pe ashiyana tha
kabhi jo zo.am hua vaqt rah gaya pichhe
nazar uTha.i to dekha vahi zamana tha
kahan thi koi sama.at makin vahan to faqat
jabin-sa.i ki ḳhatir ik astana tha
kabhi ghazal si ḳhu-e-gurez hi na ga.i
thi qurbaten to bahut ek shaḳhsana tha
Leave a Reply