buton ko bhuul jaate hain ḳhuda ko yaad karte hain
barahman jab safar su-e-allahabad karte hain
na gardan marte hain vo na dete hain kabhi phansi
hasinon ko ye sab mash.hur kyuun jallad karte hain
sitam-ijad kahte hain ye kyuun ma.ashuq ko sha.ir
sitam bhi kya koi shai hai jise ijad karte hain
hamen batla na den ashiq jo hain ru-e-kitabi par
sabaq hai kya koi ma.ashuq jis ko yaad karte hain
Leave a Reply