• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-E-Akmal Ke Pas

Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-E-Akmal Ke Pas

ye ḳhabar aa.i hai aaj ik murshid-e-akmal ke paas

un ko dhamkaya kisi ne railway-signal ke paas

husn-e-avara ka ai hamdam bhala kya e’tibar

aaj bhaTanagar ke bas men hai to kal mittal ke paas

un ki vahshat se ye zahir ho raha hai ḳhud-ba-ḳhud

ye usi mauza.a men rahte hain jo hai mangal ke paas

baghban ki ab tavajjoh hai gulistan ki taraf

paude baḌh ke ḳhud laga.e hain ka.i kaT.hal ke paas

uTh gaya bazm-e-tarab se vo raqib-e-ru-siyah

rafta rafta haath jab pahuncha mira chappal ke paas

razm-gah men un se nazren laḌ rahi hain baar baar

ho raha hai ek danggal aur usi danggal ke paas

log un ki bazm men rah kar bhi hain mahrum-e-did

jan-ba-lab hain pyaas se baiThe hue hain nal ke paas

dekhiye ye bada-e-rangin ki adna si kashish

shaiḳh-sahib aur khisak kar aa ga.e botal ke paas

naseh-e-nadan ka shikva karna hai bilkul fuzul

vo to pagal hai koi kyuun jaa.e phir pagal ke paas

himmat-afza.i na jab ummal-e-ma.amuli ne ki

pahunchi rishvat afsaran-e-darja-e-avval ke paas

‘shauq’-sahib munis-e-tanha.i ki hajat ho gar

to kisi din be-takalluf chaliye seva-dal ke paas

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse

akbar-hyderabadi

Bas Ek Tasalsul-e-Takrar-e-Qurb-O-duri Tha

Subh Se Sham Ke Aasar Nazar Aane Lage

akbar-allahabadi

Kahan Wo Ab Lutf-E-Bahami Hai Mohabbaton Mein Bahut Kami Hai

Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet