haif baa.is tire itaab ka main
kya karun apne iztirab ka main
teri ankhon ke aa.ine men rahun
aks ban ja.un tere ḳhvab ka main
rabt men bhi hisab un ka main
aur qaa.il huun be-hisab ka main
aur kab tak rahun main misl-e-saval
muntazir aap ke javab ka main
sard-mehri ka hai lihaf un par
aur paikar huun iztirab ka main
jo mohabbat ke naam hai mansub
ik varaq huun usi kitab ka main
mujtanib mere iltifat se vo
taḳhta-e-mashq ijtinab ka main
kya karun aa.ina hai mere paas
varna dushman nahin janab ka main
kyon andhere ḳhilaf hain mere
kaun lagta huun aftab ka main
matn rudad-e-ishq ka ‘raghib’
ya ḳhulasa junun ke baab ka main
Leave a Reply