ham hatheli pe jaan rakhte hain
aur teri amaan rakhte hain
chand ashkon ke vaste sahab
teri baton ka maan rakhte hain
tum guzarte ho ajnabi ban kar
ham to dil par chaTan rakhte hain
jo bhi hain ham bas ik hamin hain ham
dost kya kya guman rakhte hain
miThi baton se kya unhen matlab
har ghaḌi siina taan rakhte hain
kitne shatir hain vo mire ham-dam
dil men tir-o-kaman rakhte hain
ḳhamushi maslahat rahi ‘mahtab’
varna ham bhi zaban rakhte hain
Leave a Reply