meri chahat pe na ilzam lagao logo
kuchh samajh kar hi uThata hai koi bar-e-giran
pahle zarrat-e-zamin-bos ka hamraz to ban
phir samajhna bahut asan hai sitaron ki zaban
raz-dar-e-gul-o-nasrin to hazaron the magar
koi samjha hi nahin barg-e-pareshan ki zaban
phenkti hai tire ‘shahin’ pe duniya patthar
na-gahan chuur na ho jaa.e ye shishe ka makan
Leave a Reply