badalte mausamon men ab-o-dana bhi nahin hoga
ki pedon par parindon ka thikana bhi nahin hoga
baha le jaengi maujen kitab-e-zindagani ko
sunane ke liye koi fasana bhi nahin hoga
navah-e-jan men ik din tum utar kar dekh bhi lena
tumhare paas yadon ka khazana bhi nahin hoga
tasavvur ki hadon se duur ja kar kaise dekhenge
agar tum se taalluq ghaebana bhi nahin hoga
khula dar chhod aae the ki hijrat ka taqaza tha
vahan kya laut kar jaaen thikana bhi nahin hoga
Leave a Reply