• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Sanwli

Sanwli

qateel-shifai

sanvle jism ki har qaus men lahrata hai

muskurati hui shamon ka salona jaadu

raqs karti hai tire husn ki raanai men

vadi-e-najd ke jhonkon ki lajili khushbu

ye tire dosh pe bal kha ke bikharti zulfen

jaise maabad men sulagte hue sandal ka dhuan

jaise maghmum musavvir ke siyah-posh khayal

jaise mauhum jaziron ki chhabeli pariyan

tu vo barsat ki ghanghor ghata hai jis men

ek kaifiyat naghmat chhupi baithi hai

dudhiya husn se ukta ke miri nazron ne

jab bhi dekha hai tire rang ka bharpur nikhar

guunj uthi zehn men udte hue bhanvaron ki sada

rach gai ruuh men gaati hui koyal ki pukar

kaun hai jis ne tira zikr na chheda ho kabhi

ab to har bazm ka hai ek hi mauzu-e-sukhan

koi deta hai laqab laila-e-be-mahmil ka

koi kahta hai tujhe pyaar se kaali nagin

kaun sa lafz tire vaste ijad karun

sochta huun tujhe kis naam se main yaad karun

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mom Sifat Logon Ne Mera Hans Ke Tamasha Dekha To

Kis Ne Di Aawaz Sipar Ki oT Mein Tha

poet

Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-Ikhtiyar Aai

Phul Ki Sukh Ki Saba Ki Zindagi

poet

Gard-Baad Afsos Ka Jangal Se Hai Paida Hanuz

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet