ishq hai sarsabz virana ‘hina’
dil na maane dil ko samjhana ‘hina’
lafz ka jaadu nihayat kargar
harf ki ḳhushbu judagana ‘hina’
kya mohabbat ka yahi dastur hai
har qadam par Dagmaga jaana ‘hina’
hosh men rahna bhi karna ishq bhi
kar-e-duniya se bhi ghabrana ‘hina’
ye mohabbat ḳhushnuma pinjra koi
qaid ki aadi na ho jaana ‘hina’
pahal karna gar juda hona paḌe
ḳhud ko dorahe pe mat laana ‘hina’
koi bhi tere siva tera nahin
apni taqat aap ban jaana ‘hina’
daad se ḳhush-fahmiyan mat palna
ḳhvab se dhoka nahin khana ‘hina’
Leave a Reply