
Poet
dil ki basti pe kisi dard ka saaya bhi nahin
aisa virani ka mausam kabhi aaya bhi nahin
ham kisi aur hi aalam men raha karte hain
ahl-e-duniya ne jahan aake sataya bhi nahin
ham pe is alam-e-taza men guzarti kya hai
tum ne puchha bhi nahin ham ne bataya bhi nahin
kab se huun gharq kisi jhiil ki gahra.i men
raz-e-ayyam magar aql ne paaya bhi nahin
be-zamini ka ye dukh aur zamin bhi apni
bebasi aisi ki nukta ye uThaya bhi nahin
be-jihat uThte hue Thokaren khate ye qadam
rahbar mera mujhe raah pe laaya bhi nahin
us ne hamdardi ke paiman to bahut bandhe the
aa paḌi hai to mira haath baTaya bhi nahin
dil ki divaron se lipTi hai kisi shaam ki yaad
jaane vaala to kabhi lauT ke aaya bhi nahin
sard-mehri ki jigar chhalni kiye deti hai
us ne yuun dekhne men haath chhuḌaya bhi nahin
us se ummid-e-vafa bandh rakhi hai ‘shahid’
jis ne ye baar mohabbat ka uThaya bhi nahin

Leave a Reply