• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mahshar Mein Pas Kyun dam-E-Fariyaad Aa Gaya

Mahshar Mein Pas Kyun dam-E-Fariyaad Aa Gaya

momin-khan-momin

mahshar men paas kyuun dam-e-fariyad aa gaya

rahm us ne kab kiya tha ki ab yaad aa gaya

uljha hai paanv yaar ka zulf-e-daraz men

lo aap apne daam men sayyad aa gaya

nakamiyon men tum ne jo tashbih mujh se di

shirin ko dard-e-talkhi-e-farhad aa gaya

ham charagar ko yuun hi pahnaenge bediyan

qaabu men apne gar vo pari-zad aa gaya

dil ko qalaq hai tark-e-mohabbat ke baad bhi

ab asman ko shikva-e-bedad aa gaya

vo bad-guman hua jo kahin sher men mire

zikr-e-butan-e-khalkh-o-naushad aa gaya

the be-gunah jurat-e-pa-bos thi zarur

kya karte vahm-e-khajlat-e-jallad aa gaya

jo ho chuka yaqin ki nahin taqat-e-visal

dam men hamare vo sitam-ijad aa gaya

zikr-e-sharab-o-hur kalam-e-khuda men dekh

‘momin’ main kya kahun mujhe kya yaad aa gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-javed

Husn Najat-dahinda Hai

palaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha

shakeel-badayuni

Jada-E-Ishq Mein Gir Gir Ke Sambhalte Rahna

Rah-E-Ishq-O-Wafa Hai Aur Main Hun

zafar-iqbal

Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet