ḳhata gaya jo nishana kaman badalta hai
nahin tamiz-e-riha.ish makan badalta hai
kahani ye thi ki sab saath mil ke rahte hain
phir is ke ba.ad achanak saman badalta hai
ham us ki raah men ankhen bichha ke dekh chuke
magar vo jaan ka dushman kahan badalta hai
amir-e-shahr tanavvo-pasand hai ‘ḳhalid’
libas-e-nau ke mutabiq zaban badalta hai
Leave a Reply