• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Ek Mahaul Se Beganagi Mahsus Hoti Hai

Har Ek Mahaul Se Beganagi Mahsus Hoti Hai

har ik mahaul se beganagi mahsus hoti hai

kahin apni kahin teri kami mahsus hoti hai

abhi se kyuun juda.i ki aziyyat ka karen shikva

abhi dil men tiri maujudgi mahsus hoti hai

mohabbat ka karishma koi dekhe tere kuche men

khule bandon yahan luT kar ḳhushi mahsus hoti hai

tire irshad-e-be-avaz ko jab dil se sunta huun

ḳhamoshi guftugu karti hui mahsus hoti hai

tasallut hai abhi josh-e-junun par hosh-mandi ka

abhi divangi divangi mahsus hoti hai

unhen pa kar bhi rahta hai tajassus ka vahi aalam

koi shai jis tarah khoi hui mahsus hoti hai

talash apni hai ya un ki kuchh andaza nahin hota

basa-auqat yuun avargi mahsus hoti hai

tiri nazron ka nashtar to ba-ru-e-kar hai lekin

mohabbat ki ḳhalish men kyuun kami mahsus hoti hai

ye maana ajnabiyyat ki faza hai bazm-e-alam men

magar har shakl pahchani hui mahsus hoti hai

kisi ko dekh kar yarab ye ab kya dekhta huun main

nazar anvar men khoi hui mahsus hoti hai

nahin hote to hoti hain ‘rishi’ tarikiyan dil men

vo hote hain to dil men raushni mahsus hoti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tesha-Ba-Dast Aa Mere Aazar Tarash De

Ek Udasi Dil Par Chhai Rahti Hai

Ban Gaya Hai Jism Guzre Qafilon Ki Gard Sa

Kya Chaha Tha Kya Socha Tha Kya Guzri Kya Baat Hui

baDa Aazar-E-Jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet