shauq-e-nazar gulāb se bhī mutma.in nahīñ
chashm-e-udās ḳhvāb se bhī mutma.in nahīñ
kis umr meñ na-jāne qanā.at pasand ho
ye dil ki dastiyāb se bhī mutma.in nahīñ
ab tere ḳhadd-o-ḳhāl pe kyā iktifā kare
ye aañkh māhtāb se bhī mutma.in nahīñ
bas yūñhī be-qarārī kī lat meñ huuñ mubtalā
vaise maiñ iztirāb se bhī mutma.in nahīñ
mere bhale dinoñ pe bhī vo mo’tariz rahā
ab sā.at-e-ḳharāb se bhī mutma.in nahīñ
kitnoñ ko rāh-e-rāst pe laayā ‘hasan’ magar
darvesh is savāb se bhī mutma.in nahīñ