• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi

Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi

ankhon ke a.inon men tavana.i aa.egi

dekhega sabz khet to bina.i aa.egi

pa.ega ḳhushbuon se zaminon ke bhed bhi

ik roz tere kaam shanasa.i aa.egi

peḌon ki chhanv chhoḌ kisi ab-e-ju pe baiTh

tujh men nahin to aks men ra.ana.i aa.egi

duniya ki sair kar ke nikhar ja.ega ḳhayal

taaza hava lagegi to dana.i aa.egi

har naqsh ab-o-ḳhak ka dil men utaar le

fankar hai to taqat-e-goya.i aa.egi

sha.ir ki tarah Dol raha hai ḳhalaon men

logon men baiTh anjuman-ara.i aa.egi

andhon ke is nagar men diye ki misal ban

sahra men gul khulega to yakta.i aa.egi

shaffaf paniyon ki tarah zindagi guzar

suraj ki tarah tujh men tavana.i aa.egi

ghar men diya jala ki lage bolta hua

divar-o-dar pe zinat-o-zeba.i aa.egi

saaya bhi tera tujh ko kahin chhoḌ ja.ega

aa.i bhi tere kaam to tanha.i aa.egi

garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko

us ki gali se raat ko purva.i aa.egi

kaafi hai jo ghazal ke liye kah liya ‘ḳhalil’

aage qadam rakhega to gahra.i aa.egi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jo KHas Bande Hain Wo Banda-E-Awam Nahin

Wajud Par Inhisar Maine Nahin Kiya Tha

Maine Sirf Apne Nasheman Ko Sajaya Sal Bhar

Kisi Ke Dast-E-Talab Ko Pukarta Hun Main

Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet