• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai

Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai

sama.at ke liye ik imtihan hai

ḳhamoshi in dinon misl-e-bayan hai

safar apne hi bhitar kar raha huun

mira Thahrav muddat se ravan hai

havas shamil hai thoḌi si dua men

abhi is lau men halka sa dhuan hai

naya ik ḳhvab dekhen aur ro.en

ab itni taab ankhon men kahan hai

uḌa deti hai apni ḳhaak jab tab

zamin ki justuju bhi asman hai

tabhi aahon ke sur uThte hain is se

hamara soz-e-jan hi saz-e-jan hai

hamesha duur se dekha kiya huun

jahan mujh ko javahir ki dukan hai

mira kirdar is men ho gaya gum

tumhari yaad bhi ik dastan hai

mohabbat ek kashti muḳhtasar si

tamannaon ka dariya be-karan hai

main saare fasle tai kar chuka huun

ḳhudi jo darmiyan thi darmiyan hai

‘bakul’ ḳhvabon ke panchhi aa base hain

hamara ashiyan ab ashiyan hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kahne Sunne Se Meri Unki Adawat Ho Gai

Ashkon Mein Aaj Phir Se Nahae Hue Hain Hum

abrar-ahmad

Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-Idrak Se Aage

Aab-O-Gil Aur Kuchh Hawa Duniya

Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-E-Wafa Kyun Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet