aap shayad bhuul baithe hain yahan main bhi to huun
is zamin aur asman ke darmiyan main bhi to huun
haisiyat kuchh bhi nahin bas ek tinke ki tarah
fikr-o-fan ke is samundar men ravan main bhi to huun
be-sabab be-jurm patthar shahzadi ban gai
bas yahi thi ik sada-e-be-zaban main bhi to huun
inkisari paedari sab rava-dari gai
jab takabbur ne kaha badh kar myaan main bhi to huun
aaj is andaz se tum ne mujhe avaz di
yak-ba-yak mujh ko khayal aaya ki haan main bhi to huun
tere sheron se mujhe mansub kar dete hain log
naaz hai mujh ko jahan tu hai vahan main bhi to huun
ruthna kya hai chalo main hi mana laun use
be-rukhi se us ki ‘nusrat’ nim-jan main bhi to huun
Leave a Reply