aaj to mere kapde bhi paani ki tarah bhari hain
maut ka kajal ankhon men lagana
aur ankhon men patti bandh kar taar pe cycle chalana
ek jaisa amal hai
zinda rahne ka amal
murda zindagi ki daryuzgi se
angur ki tarah rang badal kar do-atisha hona
pighli hui mom-batti ki raushni ke akhiri vaar
ki tarah kaari hota hai
billi apne shikar se
pahle khelti hai phir khati hai
aaj jab ki mere kapde paani ki tarah bhari hain
meri binti suno
mujh se khelna band kar do
mujhe kha jaao
Leave a Reply