havas-o-hosh se begana hona bhi zaruri hai
kabhi insan ka divana hona bhi zaruri hai
ye ankhen kis liye phir aur di hain dene vaale ne
charagh-e-husn ka parvana hona bhi zaruri hai
kuchh is unvan se phaile ki maqbul-e-do-alam ho
haqiqat ke liye afsana hona bhi zaruri hai
nahin be-kaif-e-sahba Thiik duniya se guzar jaana
halak-e-gardish-e-paimana hona bhi zaruri hai
baghair us ke junun ki azmaton par tabsira kaisa
‘munavar’ ke liye farzana hona bhi zaruri hai
Leave a Reply