samajhta huun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
taḌapta huun magar auron ko taḌpana nahin aata
ye jamuna ki hasin amvaj kyuun argan bajati hain
mujhe gaana nahin aata mujhe gaana nahin aata
ye meri ziist ḳhud ik mustaqil tufan hai ‘aḳhtar’
mujhe in gham ke tufanon se ghabrana nahin aata
Leave a Reply