• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jabin-E-Dil Pe Nadamat Ka Dagh Rahta Hai

Jabin-E-Dil Pe Nadamat Ka Dagh Rahta Hai

jabin-e-dil pe nadamat ka daagh rahta hai

falak pe us ka hamesha dimagh rahta hai

gul-o-samar se lada hai har ik shajar lekin

gaya hai kaun ki maghmum baagh rahta hai

taras raha hai ujale ko ḳhuun se jis ke

hasin qasr men raushan charagh rahta hai

ana ke ḳhol se bahar kabhi nahin aata

vo jis ka ilm se ḳhali ayagh rahta hai

jo kasb-e-rizq men ne.amat ka pa gaya mafhum

usi amiir ka dil bhi faragh rahta hai

fareb-o-makr ki tashrih mat bata mujh ko

mire shajar ke nasheman men zaagh rahta hai

hai inkishaf-e-haqiqat hi fitrat-e-‘sahil’

ajiib shaḳhs hai mahv-e-suragh rahta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kaisa Tara TuTa Mujh Mein

poet

KHun-E-Nahaq Thi Faqat Duniya-E-Ab-O-Gil Ki Baat

meer-taqi-meer

Andoh Se Hui Na Rihai Tamam Shab

poet

Gul-Badan KHak-Nashinon Se Pare haT Jaen

Sarhad-E-Gul Se Nikal Kar Hum Juda Ho Jaenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet