• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aah-E-Sahar Ne Sozish-E-dil Ko Mita diya

Aah-E-Sahar Ne Sozish-E-dil Ko Mita diya

meer-taqi-meer

ah-e-sahar ne sozish-e-dil ko mita diya

us baav ne hamen to diya sa bujha diya

samjhi na baad subh ki aa kar utha diya

is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya

poshida raz-e-ishq chala jaae tha sau aaj

be-taqati ne dil ki vo parda utha diya

us mauj-khez dahr men ham ko qaza ne aah

paani ke bulbule ki tarah se mita diya

thi laag us ki tegh ko ham se sau ishq ne

donon ko maarke men gale se mila diya

sab shor-e-ma-o-man ko liye sar men mar gae

yaron ko is fasane ne akhir sula diya

avargan-e-ishq ka puchha jo men nishan

musht-e-ghubar le ke saba ne uda diya

ajza badan ke jitne the paani ho bah gae

akhir gudaz ishq ne ham ko baha diya

kya kuchh na tha azal men na taala jo the durust

ham ko dil-shikasta qaza ne dila diya

goya muhasba mujhe dena tha ishq ka

us taur dil si chiiz ko main ne laga diya

muddat rahegi yaad tire chehre ki jhalak

jalve ko jis ne maah ke ji se bhula diya

ham ne to sadgi se kya ji ka bhi ziyan

dil jo diya tha so to diya sar juda diya

boi kabab sokhta aai dimagh men

shayad jigar bhi atish-e-gham ne jila diya

taklif dard-e-dil ki abas ham-nashin ne ki

dard-e-sukhan ne mere sabhon ko rula diya

un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke ‘mir’

ham ne bhi ek dam men tamasha dikha diya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jab Se Gaya Hai Wo Mera Iman-E-Zindagi

poet

Na Itna Kije Talabgar Kaun Aap Ka Hai

Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai

Sach Kahne Ka aaKHir Ye Anjam Hua

poet

KHamoshi Ko jhinjhoDa Ja Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet