kahin to karvan-e-dard ki manzil thahar jaae
kinare aa lage umr-e-ravan ya dil thahar jaae
amaan kaisi ki mauj-e-khun abhi sar se nahin guzri
guzar jaae to shayad bazu-e-qatil thahar jaae
koi dam badban-e-kashti-e-sahba ko tah rakkho
zara thahro ghubar-e-khatire-mahfil thahar jaae
khum-e-saqi men juz zahr-e-halahal kuchh nahin baaqi
jo ho mahfil men is ikram ke qabil thahar jaae
hamari khamushi bas dil se lab tak ek vaqfa hai
ye tufan hai jo pal bhar bar-lab-e-sahil thahar jaae
nigah-e-muntazir kab tak karegi aina-bandi
kahin to dasht-e-gham men yaar ka mahmil thahar jaae
Leave a Reply