ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi
ye bhi hai sach ki diid ki hasrat nahin rahi
dil un ki is ada se bhi manus ho gaya
ab jaur-e-be-ruḳhi ki shikayat nahin rahi
donon badalte vaqt ke sanche men Dhal ga.e
vo dil nahin raha vo tabi.at nahin rahi
kya dekhte hain dekh ke pesh-e-nazar unhen
goya nigah men diid ki taqat nahin rahi
ab ḳhvab hi men un se mulaqat ho to ho
milne ki un ki aur to surat nahin rahi
jab kuchh na the ḳhayal tha nam-o-numud ka
ab kuchh hue to ḳhvahish-e-shohrat nahin rahi
sad-haif zarf valvala-e-dil ke bavajud
pahli si vo jasarat-o-jur.at nahin rahi
insaniyat ke naam ka charcha to hai magar
insaniyat amal se ibarat nahin rahi
dekh ai ‘rishi’ kamal-e-fusun-e-jadidiyat
ab ehtiram-e-fan ki zarurat nahin rahi
Leave a Reply