main apne-ap se ghafil na yuun hua hota
mire bhi paas agar koi aa.ina hota
zara to soch kar itna hi kar liya hota
mujhe kitab samajh kar hi paḌh liya hota
tamam-umr faqat ek aarzu hi rahi
kiya tha pyaar to phir TuuT kar kiya hota
ye aur baat ki main tujh se duur huun lekin
main tere paas bhi hota bhala to kya hota
papiha savanon men yuun pukarta na kabhi
agar tu chandni raton men mil gaya hota
miri bisat ke baare men puchhne vaale
kisi faqir ka chehra hi paḌh liya hota
karun to kis se karun main gila jahalat ka
ye aarzu thi ki main bhi paḌha-likha hota
khanDar-zamin pe basa leta bastiyan vo bhi
agar vo vaqt se pahle na mar gaya hota
bhari bhari kisi mahfil men dekh kar us ko
main apne jism ke andar hi chhup gaya hota
mire qalam se Tapakta hua lahu ‘rizvi’
kisi ki aankh ka kajal hi ban gaya hota
Leave a Reply