ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha
hangama ik na ik mire balin par raha
eajaz-e-dil-farebi-e-andaz dekhna
har har ada pe mujh ko guman-e-nazar raha
qasid bhi koi sabr-e-dil-e-na-shakeb tha
aate hi aate raah men kam-bakht mar raha
parhez-e-ishq se mujhe vahshat fuzun hui to
main kuchh dava se aur bhi ranjur-tar raha
hai pa-e-harza-naz men kya gardish-e-nasib
do din na chain se sar-e-shorida-sar raha
uth uth ke saath saath mire thak ke rah gaya
main kuchh tapish men dard se betab-tar raha
Leave a Reply