• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jalta Hun Hijr-E-Shahid O Yaad-E-Sharab Mein

Jalta Hun Hijr-E-Shahid O Yaad-E-Sharab Mein

momin-khan-momin

jalta huun hijr-e-shahid o yad-e-sharab men

shauq-e-savab ne mujhe daala azaab men

kahte hain tum ko hosh nahin iztirab men

saare gile tamam hue ik javab men

phaili shamim-e-yar mire ashk-e-surkh se

dil ko ghazab fishar hua pech-o-tab men

chin-e-jabin ko dekh ke dil basta-tar hua

kaisi kushud-e-kar kushad-e-naqab men

ham kuchh to bad the jab na kiya yaar ne pasand

ai hasrat is qadar ghalati intikhab men

rahte hain jama kucha-e-janan men khaas o aam

abad ek ghar hai jahan-e-kharab men

aankh us ki phir gai thi dil apna bhi phir gaya

ye aur inqilab hua inqilab men

badnam mere girya-e-rusva se ho chuke

ab uzr kya raha nigah-e-be-hijab men

matlab ki justuju ne ye kya haal kar diya

hasrat bhi ab nahin dil-e-nakam-yab men

goya ki ro raha huun raqibon ki jaan ko

atish zabana-zan hui tufan-e-ab men

nakamiyon se kaam raha umr bhar hamen

piiri men yaas hai jo havas thi shabab men

hai ikhtiyar-e-yar men suud o ziyan magar

fazil the ham jahan se qaza ke hisab men

naseh hai aib-ju o dil-azar is qadar

goya savab hai sukhan-e-na-savab men

donon ka ek haal hai ye muddaa ho kaash

vo hi khat us ne bhej diya kyuun javab men

taqdir bhi buri miri taqrir bhi buri

bigde vo pursish-e-sabab-e-ijtinab men

kya jalve yaad aae ki apni khabar nahin

be-bada mast huun main shab-e-mahtab men

hai minnaton ka vaqt shikayat rahi rahi

aae to hain manane ko vo par itaab men

teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amn

badmast ghair mahv dil aur bakht khvab men

paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-vida

‘momin’ khuda ko bhuul gae iztirab men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-ashfaq

de Ke Wo Sare Ikhtiyar Mujhe

Zikr-E-Mazi Se Shab-O-Roz Satate Hain Mujhe

Kisi Nazar Mein Samaun Wo Walwala Bhi De

Rabta Lakh Sahi Qafila-Salar Ke Sath

meer-hasan

Hum Qatl Ho Gae Nahin Tujhko Khabar Hanuz

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet