• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shikwa-E-Jaur-O-Jafa Ho Ye Zaruri to Nahin

Shikwa-E-Jaur-O-Jafa Ho Ye Zaruri to Nahin

poet

shikva-e-jaur-o-jafa ho ye zaruri to nahin

hashr ulfat ka bura ho ye zaruri to nahin

arz-e-matlab bhi ḳhata ho ye zaruri to nahin

is men tauhin-e-vafa ho ye zaruri to nahin

haq mohabbat ka ada ho ye zaruri to nahin

dard-e-dil ki bhi dava ho ye zaruri to nahin

jaur altaf-numa ho ye zaruri to nahin

gham ki talḳhi men maza ho ye zaruri to nahin

ibtida shauq ki hoti hai pur-ummid aksar

us ka anjam bura ho ye zaruri to nahin

is qadar bhi koi baton men na aa.e ai dil

un ki har baat baja ho ye zaruri to nahin

ham ne qurban kiye ishq men jan-o-dil bhi

hurmat-e-ahl-e-vafa ho ye zaruri to nahin

maar Daala tiri ik tarz-e-taghaful ne mujhe

aur tajdid-e-jafa ho ye zaruri to nahin

main gunahgar-e-mohabbat huun ye taslim magar

har sitam mujh pe rava ho ye zaruri to nahin

dekhiye jaur-e-musalsal pe mire zabt ki taab

lab pe shikva ho gila ho ye zaruri to nahin

jin se ai dil tira kuchh ḳhaas ta.alluq Thahra

un se iz.har-e-vafa ho ye zaruri to nahin

tarjuman-e-dil-e-betab to nazren bhi hain

kuchh zaban se bhi ada ho ye zaruri to nahin

dil-e-betab ko taskin to mil jaati hai

meri har aah rasa ho ye zaruri to nahin

mujh ko rahbar ki qayadat to hai manzur magar

us ko manzil ka pata ho ye zaruri to nahin

ai ‘kanval’ tu ne kabhi koi taraddud bhi kiya

ik muqaddar hi bura ho ye zaruri to nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shish-Mahal Mein Do Pal Ko Mehman Hue the Hum

ambareen-haseeb-ambar

Shairi Ki Kitab

Hum Faqiron Ki Jeb Khaali Hai

Kuchh Nahin Likkha Hua Phir Bhi paDha Jata Hai Kya

Jab Ki Nazar Talash Fareb-E-Nazar Mila

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet