• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka dikha de Chehra Uda Ke Aanchal

Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka dikha de Chehra Uda Ke Aanchal

poet

ilahi koi hava ka jhonka dikha de chehra uda ke anchal

ki jhankta bhi hai vo sitam-gar to khadkhadi men laga ke anchal

zarur dhaega koi aafat zarur fitna bapa karega

ye tera atkheliyon se chalna jhuka ke gardan utha ke anchal

jo tum ko manzur hai phir aana tumhin kaho phir ye kaisa jaana

jata ke ghussa suna ke baten chadha ke tevari chhuda ke anchal

zamana furqat ka jaae ya-rab vo vaqt vo din bhi aae ya-rab

ada karun main tira dogana khade rahen vo bichha ke anchal

zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain duur duur ham se

jo paas bhi aa ke baithte hain to zer-e-zanu daba ke anchal

tumhen hai sahib lihaz kis ka ye kosna chupke chupke kaisa

dua karun main ragad ke matha kaho tum amin utha ke anchal

tira ye buuta sa qad qayamat pe chaal matvali aafat aafat

ye pyari surat sitam dupatta ghazab ki rangat bala ke anchal

samajh le ye dil men ‘asman’ tu vo lot hain tere lotne par

jo odh kar latpata dupatta lutate hain adbada ke anchal

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya KHabar Thi Wo Mata-E-Be-Baha Le Jaega

Hama-Waqt Jo Mere Sath Hain Ye Ubharte Dubte Sae Se

poet

Nigahon Mein Iqrar Sare Hue Hain

akhgar-mushtaq-raheem-aabadi

Hangama-e-Afat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi

poet

Aap Kya Ek Sitamgar Bane Baithe Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet