• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Itna Hi Sahaara Dil-E-Nakaam Bahut Hai

Itna Hi Sahaara Dil-E-Nakaam Bahut Hai

itna hi sahara dil-e-nakam bahut hai

ab un ka tasavvur hi sar-e-sham bahut hai

ab koi zarurat hai dava ki na dua ki

jis haal men huun main mujhe aram bahut hai

girya se hai aghaz-e-amal bazm-e-jahan men

insan ko andesha-e-anjam bahut hai

kam-zarf hain karte hain jo piine se takalluf

saaqi mujhe ye durd-e-tah-e-jam bahut hai

ubhri nahin dil men kabhi ummid-e-karam bhi

tera ye karam gardish-e-ayyam bahut hai

main naam na lunga kabhi fariyad-o-fughan ka

jiita huun mohabbat men yahi kaam bahut hai

ham jaate hain pyase tire mai-ḳhane se saaqi

sunte to ye the tera karam aam bahut hai

ahbab karen ab na ‘sa.id’ is men izafa

dushman se jo milta hai vo in.aam bahut hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dhup Ke Jate Hi Mar Jaunga Main

Chain Ho Ya Bechaini Ho Pahle Dil Ghabraega

firaq-gorakhpuri

Jis Tarah Asawari Ke dil Ki dhadkan

poet

Mahfil Mein Aate Jate Hain Insan Nae Nae

Ek Mafruza Taqaddus KHud Pe Tari Kar Raha Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet