nāz-e-but-e-mahvash par qurbān dil-o-jāñ hai
ye shān-e-ḳhudā ḳhudā-e-shāhid-e-ġhārat-gar-e-īmāñ hai
jo baat bhī hai pyārī jo chaal bhī hai achchhī
aan us kī nahīñ maḳhfī shaan us kī numāyāñ hai
hamrāh chalūñ us ke kuchh baat karūñ us se
muddat se ye hasrat hai muddat se ye armāñ hai
vo mujh ko dikhāte haiñ har aan nayā jalva
mere liye har jalva sarmāya-e-ehsāñ hai
girdāb-e-havādis meñ ḳhush huuñ ki mirī kashtī
nā-dīda-e-sāhil hai parvarda-e-tūfāñ hai
hañstā huā aayā hai hañs hañs ke rulā.egā
vo ahd-shikan phir ab āmāda-e-paimāñ hai
‘manzūr’ use dil denā dil de ke ḳhalish lenā
ye bhī koī hasrat hai ye bhī koī armāñ hai