utra jo iltifat ka dariya na tha kabhi
dil is qadar bhi hijr ka maara na tha kabhi
sarmaya-e-hayat the farda ke ḳhvab so
likha bisat-e-jan pe ḳhasara na tha kabhi
bikhra vo ḳhaak ho ke miri rahguzar men
jo shaḳhs aa ke ḳhvab men milta na tha kabhi
tanha.i ḳhauf ye shab-e-dijur ye ghuTan
guzregi aise qabr men socha na tha kabhi
ik aan men ye paikar-e-ḳhaki bikhar gaya
ye saneha to ruuh pe guzra na tha kabhi
mastur tha hijab-e-taqaddus men soz-e-ishq
avaza-e-ḳhiram-e-tamanna na tha kabhi
nasur ban ke ruuh ko ghayal kiye gaya
jo ashk chashm-e-nam ne giraya na tha kabhi
to ye na justuju hai na zauq-e-junun-e-ishq
viran aisa shahr-e-tamanna na tha kabhi
‘anjum’ ye shab-gazida sahar kyuun nasib men
main ne charagh-e-shauq bujhaya na tha kabhi
Leave a Reply