kab talak chalna hai yuun hi ham-safar se baat kar
manzilen kab tak milengi rahguzar se baat kar
tujh ko mil ja.ega tere sab savalon ka javab
kashtiyan kyuun Duub jaati hain bhanvar se baat kar
kab talak chhupta rahega yuun hi apne-ap se
aa.ine ke ru-ba-ru aa apne Dar se baat kar
baḌh chuki hain ab tiri fikr-o-nazar ki vus.aten
jugnuon ko chhoḌ ab shams o qamar se baat kar
is tarah to aur bhi teri ghuTan baḌh ja.egi
ham-nava koi nahin to bam-o-dar se baat kar
dard kya hai ye samajhna hai to apne dil se puchh
ansuon ki baat hai to chashm-e-tar se baat kar
har safar manzar se pas-e-manzar talak to kar liya
dekhna kya chahti hai ab nazar se baat kar
dhuup kaise saa.e men tabdil hoti hai yahan
is hunar ko sikhna hai to shajar se baat kar
zaḳhm poshida raha to dard baḌhta ja.ega
be-takalluf ho ke apne chara-gar se baat kar
Leave a Reply