yuun aaj apne-ap se uljha hua huun main
jaise ki ḳhud nahin huun koi dusra huun main
zehn aur dil men chheḌ gaya koi sard jang
ik sail-e-kashmakash ke muqabil khaḌa huun main
aa jaa.e samne koi me.aar to tira
ye soch kar nigah se akasr gira huun main
ḳhud ko to kho ke tujh ko nahin pa saka magar
khoya tujhe to jaane kise pa gaya huun main
yuun to huun ek lafz hi main bhi lughat ka
mafhum ke lihaz se sab se juda huun main
Leave a Reply