ḳhun-e-nahaq ka samundar nahin dekha jaata
ab tabahi ka ye manzar nahin dekha jaata
jab se hai qaid hisaron men takabbur ke ana
ḳhud se uncha koi paikar nahin dekha jaata
jaane kab kaun hamen desh nikala de de
sar pe laTka hua ḳhanjar nahin dekha jaata
jo zariya tha shikam-seri-e-insan ka sada
peT par bandhe hai patthar nahin dekha jaata
aaj insan hai shikanje men hasad ke aise
TuTne par hain ka.i ghar nahin dekha jaata
teri azurda si muskan se bekal hai ‘shifa’
ek tufan tire andar nahin dekha jaata
Leave a Reply