paikar-e-nur men dhalta hi chala jaata huun
lau pakad luun to main jalta hi chala jaata huun
ek tu hai ki mayassar nahin aane vaala
ek main huun ki machalta hi chala jaata huun
faisla-kun hai agar tu to bas ab jaldi kar
main jo tal jaun to talta hi chala jaata huun
nakhl-e-sahra tha magar jab se tu roya mujh par
dekh main phulta-phalta hi chala jaata huun
Leave a Reply