be-tarah in men ulajh ja.ega nadani na kar
vaqi.at-e-umr-e-rafta par nazar saani na kar
dil pe jo guzri hai us par ashk-afshani na kar
zindagi ki anjuman men marsiya-ḳhvani na kar
kya zaruri hai ki ye dukh banTne vaale bhi hon
milne valon se kabhi zikr-e-pareshani na kar
arzuon ko na rakh har chiiz se baḌh kar aziiz
tez tar kanTe hain ye un ki nigahbani na kar
vaqt ke bigḌe hue atvar ka andaz dekh
zindagi men har-qadam par apni man-mani na kar
kashti-o-tufan ke ik naaz se rishte ko samajh
halqa-e-tufan men rah kar apni man-mani na kar
‘arsh’ is men talḳhi-e-gham ke siva kuchh bhi nahin
tu kitab-e-zindagi ki safha-gardani na kar
Leave a Reply