kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyaar nahin
ye aur baat hai halat ḳhush-gavar nahin
bisat hi to hai kya jaane kab ulaT jaa.e
yahan pyada-o-farzin ka e’tibar nahin
jahan jahan nazar uTThi vahan vahan tu tha
kahan kahan tire jalvon ka intishar nahin
vo kya kisi ki nigahon pe e’tibar kare
jise ḳhud apni nigahon pe e’tibar nahin
fusun-shanas huun main rang-o-bu samajhta huun
fareb-ḳhurda-e-rangini-e-bahar nahin
nahin hai koi bhi shai qabza-e-tasarruf men
kisi bhi chiiz pe insan ko iḳhtiyar nahin
dam-e-habab navazish ki is qadar barish
gunahgar bhi jaise gunahgar nahin
nazar ka kya hai bahak bhi ga.i hai ye aksar
hamara daman-e-dil hai ki daghdar nahin
abhi to kashmakash-e-dar-o-gir baaqi hai
abhi hayat ka mahaul sazgar nahin
miri ravish hai alag ‘taj’ mera zauq juda
adab ko bech ke jiina mera shu.ur nahin
Leave a Reply