avaz ke saudagaron men itni fankari to hai
sher-o-adab ke naam hi par garm-bazari to hai
koi kahe koi sune koi likhe koi paḌhe
har dil ko bahlae ghazal bik jaae bechari to hai
kavvon ke aage gung hain kya tutiyan ki bulbulen
ahl-e-chaman hain mutmain rasm-e-suḳhan jaari to hai
maana zamin-e-karbala par dastaras mumkin nahin
lekin sar-e-kufa yazidon ki amal-dari to hai
in shairon men ek do shaer bhi hain mahfil-zada
sad-afrin in Theka-daron men rava-dari to hai
kis ne kaha ‘azim’ ḳhushamad ji-huzuri aib hai
rah-e-talab hamvar karne ki kala-kari to hai
Leave a Reply