Chaar Unsur Se Bana Hai Jism-E-Pak

chaar unsur se banā hai jism-e-pāk

haiñ ye chāroñ bād-o-ātish āb-o-ḳhāk

az pai-takmīl-e-tahqīqāt-e-ilm

ho gayā lāzim ḳhalī kā ishtirāk

aql-o-dil īzād ho kar ho ga.e

shash-jihāt-o-haft-manzil tābnāk

jab irādat se huā us kā zuhūr

aa gayā pindār kā gardish meñ chaak

rūh-e-āzam se huvaidā ho ga.ī

vo irādat jis ne dam kī rūh-e-pāk

rūh-e-āzam kyā hai vo zāt-e-qadīm

hai zabān-e-ilm meñ jo jān-e-pāk

vahdat-o-kasrat meñ ‘sāhir’ hai ayaañ

jaan yā nūr-e-qadam yā zāt-e-pāk

Leave a Comment