Dharti Ko Gagan Nahin Karoge

dhartī ko gagan nahīñ karoge

milne kā jatan nahīñ karoge

dekho mujhe ziist kar rahā huuñ

tum pyaar sajan nahīñ karoge

ab raat udaas ho chalī hai

chupke se suḳhan nahīñ karoge

rahtā nahīñ bas meñ dil hamārā

qaabū ye hiran nahīñ karoge

tasvīr to ban chukī tumhārī

ab do do bachan nahīñ karoge

phūloñ se kalām kar rahe ho

bulbul se suḳhan nahīñ karoge

bas ek zarā sā dhyān de kar

mastoñ ko magan nahīñ karoge

sakhiyāñ sabhī ho chukīñ parā.ī

tum ham se lagan nahīñ karoge

ik tarz-e-suḳhan ‘sanā’ ne dī hai

tā.īd-e-suḳhan nahīñ karoge

Leave a Comment