ham ne ehsan asiri ka na barbad kiya
marte dam munh taraf-e-ḳhana-e-sayyad kiya
ab ki sayyad ne turfa sitam ijad kiya
be-par-o-bal samajh kar hamen azad kiya
kya tiri yaad karenge falak-e-na-insaf
dil-e-nashad hamara na kabhi shaad kiya
dil pe sadme liye jaur-o-sitam ḳhuban ke
zabt dekho na kabhi va lab-e-fariyad kiya
asman ki na shikayat na hasinon ka gila
dil-e-na-fahm ne mere mujhe barbad kiya
itna shikva hai ḳhayal-e-ruḳh-e-janan se hamen
dil-e-viran na hamara kabhi abad kiya
shefta kar ke mujhe ik bune harja.i par
ḳhuub rusva-e-jahan ai dil-e-nashad kiya
haath aaya koi mazmun naya to samjha
mujh ko farzand-e-ḳhuda ne mire imdad kiya
ishq-e-ḳhuban men hua ranj to rahat samjha
shukr main ne evaz-e-shikva-e-bedad kiya
kufr-o-islam ke jhagḌon se chhuḌaya sad shukr
qaid-e-maz.hab se junun ne mujhe azad kiya
mahfil-e-ghair men bulva ke jalaya ham ko
tum ne ḳhalvat men kisi din na hamen yaad kiya
jis men mazmun raqam tha tiri ḳhush-chashmi ka
to usi sher pe ustad ne bhi saad kiya
koh-e-gham ham ne bhi o ghairat-e-shirin kaaTa
josh-e-ulfat men tire pesha-e-farhad kiya
ek din bhi na hamara koi kahna maana
ham baja laa.e jo kuchh aap ne irshad kiya
tere divanon ka kis dasht men maskan na hua
kaun sa hai vo ḳharaba jo na abad kiya
hasart-e-qatl hi ne jaan li apni sad shukr
maut ne ham ko na sharminda-e-jallad kiya
dekho is ishq-e-fusun-saz ke nairang aḳhir
jaan li qais ki TukḌe sar-e-farhad kiya
laakh chaha magar ik shoḳh hamara na hua
kya javani ko ‘qalaq’ muft men barbad kiya
Leave a Reply