khota hi nahin hai havas-e-matam-o-malbas
ye nafs-e-havasnak o bad-amoz-o-muhavvas
be-shubah tiri zaat khudavand-e-khalaiq
aala hai taala hai muaalla hai muqaddas
vo kaam tu kar jis se tiri gor ho gulzar
kya khana-e-divar ko karta hai muqarnas
madfan ke taiin aage hi munim na bina rakh
kya janiye vaan dafn ho ya khaega kargas
hai vasl tira jannat-o-dozakh hi juda hai
jaane hai kab is baab ke taiin har kas-o-na-kas
tasvir tire panja-e-simin ki tala se
divan men hai mere likhi jaae mukhammas
kahne ko mire dil ke sun ai gulshan-e-khubi
gar hai to tire ko hai ye firdaus ye murdas
sun sun ke tira shor vo bezar hua aur
naale ka asar tere dila dekh liya bas
is jubba-o-ammama se rindon men na aao
rusva na karo shaikh-ji ye shakl-e-muqaddas
manind-e-kaman kham na karun qad ko tamaa se
gardish men rakhe go mujhe ye charkh-e-muqavvas
har raat hai ashiq ko tire roz-e-qayamat
har roz judai men use ho hai hunaddas
‘taban’ ye ghazal ahl-e-shuuron ke liye hai
ahmaq na koi samjhe to jaane mira dhandas
Leave a Reply